Is Dard Ki Duniya Se Guzar Kiun Nahi Jate
Ye Log Bhi Kya Log Hain Mar Kiun Nahi Jate
Hai Kon Zamany Me Mera Puchne Wala
Nadaan Hain Jo Kehte Hain K Ghar Kiun Nahi Jate
Sholay Hain To Kiun In Ko Bharakte Nahi Dekha
Hain Khaak To Rahon Me Bikhar Kiun Nahi Jate
Ansoo Bhi Hain Ankhon Me Duain Bhi Hain Lub Par
Bigray Hue Halaat Sanwar Kiun Nahi Jate...
*Habib Jalib*
Submitted By: Shahid Aziz Anjum
*Habib Jalib*
Submitted By: Shahid Aziz Anjum
No comments:
Post a Comment