Saturday, 10 February 2018

Friday, 9 February 2018

Aye Meri Mout Meri Jan Bacha Le Aa Kar

Aye Meri Mout Meri Jan Bacha Le Aa Kar
Zindagi Roz Mujhe Zer Zabar Karti Hai...


Us Waqt Tere Dil Main Bohat Dard Uthe Ga

Us Waqt Tere Dil Main Bohat Dard Uthe Ga
Jab Mujh Se Bichar Kar Mere Humnaam Milenge...

Us Waqt Tere

Kitna Ghafil Hai Mujhe Acha Samjhne Wala

Kitna Ghafil Hai Mujhe Acha Samjhne Wala
Kya Basaye Ga Mujhe Khud Hi Ujarne Wala

Kya Tamasha Hai K Me Us Pe Bigar Betha Hun
Wo Jo Mash-Hoor Hai Logon Me Bigarne Wala

Zinda Rehne Ka Sabab Kya Hai Ye Dil Se Puch
Juzz Tere Or Nahi Koi Dharakne Wala

Naao Doobi Meri Karte Hue Deedar Tera
Or Tera Naam Hi Leta Tha Ubharne Wala

Teri Waja Se Hi Larta Hun Zamany Bhar Se
Me Hun Mash-Hoor Zamany Me Jhagarne Wala

Kesi Ankhein Hain Wo Zalim Ki Samandar Jesi
Kitna Roshan Tera Chehra Hai Chamakne Wala

Tumhe Maloom Hai Kon Likhe Ga Ye Ghazal
Tumhare Ishq Me Bar-Waqt Tarapne Wala...

Blogger: Waqas Ali

Tuesday, 6 February 2018

Monday, 5 February 2018

Ek Me Hun K Apne Zakham Chupaye Rakhta

Ek Me Hun K Apne Zakham Chupaye Rakhta Hun
Ek Tum Ho K Muyassar Nahi Aty Hum Ko...


Chalo Kashmir Chalte Hain

Chalo Kashmir Chalte Hain
Jahan Par Barf Parti Hai
Jahan Pathar K Niche
Phool Khilte Hain
Jahan Chashmy Ubalty Hain
Jahan Barish Barasti Hai
Barasti Barishon Me Bhi
Jahan Kohsar Jalte Hain
Chalo Kashmir Chalte Hain...

Chalo Kashmir Chalte

Saturday, 3 February 2018

Friday, 2 February 2018

Kya Mila Dilbari Kar K

Kya Mila Dilbari Kar K
Ek Sanam Se Ashqi Kar K

Kiun Muqaddar Ko Kostay Ho Tum
Tabah Khud Apni Zindagi Kar K

Kuch Ajar Nahi Mile Ga Tumhe
Yoon Dikhawy Ki Bandagi Kar K

Log Samajhte Nahi Hain Gham Mera
Dekh Lia Mene Shayari Kar K

Laut Jaunga Main Andhere Main
Us Ki Duniya Main Roshni Kar K

Gham Main Bhi Muskurata Hun 'Zia'
Us K Naam Har Khushi Kar K...

Submitted By: Zia Anwar Janjua

Tum To Us Dard Se Guzray Ho Na

Tum To Us Dard Se Guzray Ho Na
Wo Rutt Jis Me Jal Jati Hain Ankhen...?

Tum To Us

Hum Samaity Hain Dard Duniya Ka

Hum Samaity Hain Dard Duniya Ka
Tum Se Hum Ek Nahi Sambhaly Gaye...?

Hum Samaity Hain