Tuesday, 28 November 2017

Aanch Dete Hue Angary To Dekhe Hon Ge

Aanch Dete Hue Angary To Dekhe Hon Ge
Kabhi Dekha Hai Koi Gham Se Sulagta Chehra...?

Aanch Dete Hue

Dua-E-Bad Nahi Deta Faqat Itna Hi Kehta Hun

Dua-E-Bad Nahi Deta Faqat Itna Hi Kehta Hun
K Jis Se Dil Lage Tera Wo Tujh Sa Bewafa Nikle...

Submitted By: Muhammad Nawaz

Kisi Ne Na Suni Ek Dewany Ki Sada

Kisi Ne Na Suni Ek Dewany Ki Sada
Sada-E-Loo Me Thi Ek Parwany Ki Baqa
Baqa-E-Yaar Ki Khatir Sada De Deta Magar
Wisaal-E-Yaar Ki Khatir Thi Ek Khamosh Fiza
Khamosh Rehna To Bus Ek Bahana Tha
Wisaal-E-Yaar Tha Phir Bichar Jana Tha
Is Milne Aur Bicharny Ki Kahani Main
Loo Dewani Thi Aur Yaar Parwana Tha...

Submitted By: Adnan Ali Cheema

Saturday, 25 November 2017

Neend Ai Na Rat Bhar Mujh Ko

Neend Ai Na Rat Bhar Mujh Ko
Khawab Bethe Rahe Qataron Me...

Blogger: Waqas Ali

Rat Ko Uth Na Saka Darwazy Ki Dastak Par

Rat Ko Uth Na Saka Darwazy Ki Dastak Par
Subha Bohat Roya Pairon K Nishan Dekh Kar...

Rat Ko Uth

Ab K Toota Hai To Kuch Chain Se Betha Hai Zara

Ab K Toota Hai To Kuch Chain Se Betha Hai Zara
Warna Is Dil Ne Dikhaye The Tamashy Kya Kya...

Blogger: Waqas Ali

love poetry in urdu with high quality images

 love poetry in urdu with high quality images
 love poetry in urdu with high quality images
 love poetry in urdu with high quality images
love poetry in urdu with high quality images

love urdu poetry pics, best love poetry for couples and facebook and instagram status. romantic love poetry in urdu, 2017 love poetry with pics, download free love poetry images, love poetry designed by naqeeb, 2 line love poetry.

Thursday, 23 November 2017

Wednesday, 22 November 2017

Ye Tera Noor Hai Jo Siyah Raton Ko Taranum Kar De

Ye Tera Noor Hai Jo Siyah Raton Ko Taranum Kar De
Sadiyon Se Dil Hai Khali Ab Is Me Arman Bhar De...

Submitted By: Fareed Baloch

Nafrat Ki Wadiyon Main

Nafrat Ki Wadiyon Main
Main Jee Raha Hun Kab Se
Tu Nazar-E-Karam Kar De
Main Ishq Tujh Se Kar Loon...

Submitted By: Kabeer Hasan

Nafrat Ki Wadiyon

Tuesday, 21 November 2017

Ye Jo Dewany Se Do Char Nazar Aty Hain

Ye Jo Dewany Se Do Char Nazar Aty Hain
In Main Kuch Sahib-E-Israr Nazar Aty Hain

Teri Mehfil Ka Bharam Rakhte Hain So Jate Hain
Warna Ye Log To Bedaar Nazar Aty Hain

Aur Hashar K Din Kya Bany Ga Mera
Yahan Sab Tere Tarafdar Nazar Aty Hain...

Submitted By: Zahid Farid

Main Hun Mujh Sa Mujhe Nahin Lagta

Main Hun Mujh Sa? Mujhe Nahin Lagta
Phir Tujhe Kiun Main Us Sa Lagta Hun?

Submitted By: Paaris Sohail

Ab Wo Ehsas Nahi K Kuch Likh Paun Main

Ab Wo Ehsas Nahi K Kuch Likh Paun Main
K Itni Bedardi Se Tori Hain Kisi Ne Umeedain Meri...

Submitted By: Rabbani Rehman

Paichida Se Marz Se Do Char Ho Gya Hun

Paichida Se Marz Se Do Char Ho Gya Hun
Main Apne Hi Sehen Main Shumaar Ho Gya Hun

Rehte Hain Tabeeb Bhi Mere Aas Pas
Main In Ki Guftagu Se Lachaar Ho Gya Hun

Keh Do Lala Zaar K Sabhi Nazaron Se
Main Jhurmat-E-Fazaoun Main Bemaar Ho Gya Hun

Aate Hain Ujale Bhi Mera Haal Puchne
Main In K Sakhat Lehje Main Giraftar Ho Gya Hun

Main Kese Maan Jaun K Ye Mere Hain Apne
Main Inhi K Dilason Ka Shikaar Ho Gya Hun

Mumqin To Nahi Sub Amjad Se Hi Sun'na Hai
Main Un Ki Shokh Nazar Se Bedaar Ho Gya Hun...

Submitted By: Amjad Khan

Wednesday, 15 November 2017

Kiun Bhool Gaye Hum Ko Rishta To Purana Tha

Kiun Bhool Gaye Hum Ko Rishta To Purana Tha
Aik Ye Bhi Zamana Hai, Aik Wo Bhi Zamana Tha

Rangeen Fizayein Thi Shokh Adayein Thi
Jazbon Ki Jawani Thi Mosam Bhi Suhana Tha

Seene Se Lagaya Tha Ankhon Pe Bithaya Tha
Maloom Na Tha Tum Ne Yoon Chor K Jana Tha

Kiun Hum Se Khafa Ho Tum Kiun Hum Se Juda Ho Tum
Kya Jurm Hua Hum Se Itna To Batana Tha

Nafrat Se Bhari Nazrein Aik Jaan Hi Le Bethi
Tukre Bhi Kiye Dil K Kya Khoob Nishana Tha...

Kiun Bhool Gaye

Jo Nazron Se Tum Mere Dil Ko Nidhal Karte Ho

Jo Nazron Se Tum Mere Dil Ko Nidhal Karte Ho
Karte To Zulm Ho Sahib Magar Kamal Karte Ho...

Jo Nazron Se

Khizaan K Mausam Ki Sard Shaamen

Khizaan K Mausam Ki Sard Shaamen
Saraab Yaadon K Haath Thaamay

Kabhi Jo Tum Se Hisaab Mangen
Maayusiyon K Nisaab Mangen

Be-Noor Aankhon Se Khawab Mangen
To Jaan Lena K Khawab Saray

Meri Hadon Se Nikal Chukay Hain
Tumhari Chokhat Pe Aa Rukay Hain

Musaafton Se Thakay Hue Hain
Ghubar-E-Raah Se Hatte Hue Hain

Kuch Is Tarha Se Dare Hue Hain
Sawaali Nazron Se Tak Rahe Hain

Tumhari Chokhat Pe Jane Kab Se
Jabeen Jhukaye Hue Khare Hain...

Khizaan K Mausam